Friday, November 13, 2009

kab khilega fir gulshan

 ruk gya hai sama saansein bhi hain madham
ruki si is tasveer mein yeh kaisa khalipan

zamin bhi hai aasman bhi hai failaa sa
roothe se lag rahe hain na koi apnapan

hare bhare pedon mein koi pakshi nazar na aaye
hairaani ho rahi hai are yeh kaisa beganapan

mere dil ki dhadkan bhi tham si gayi hai aaj
aaj na hai koi khushi aur na hai koi gham

door door tak yahan bhi nazar jaaye
shore mein bhi chuppi jaise ghut raha ho dum

koi apna nazar jo aaye bin dekhe nikal jaaye
aisa bhi kya hua hai aaj kyun yeh anjanapan

jiwan ki khuli kitaab mein koi prem rang nahi
yeh kaisa dhuaan utha hai kis baat ki hai jalan

kab pyaar ki hogi baarish dilon ki sookhi dharti par
khushiyon ka mausam aayega kab khilega fir gulshan



Teri Yaad



Teri yaad dil se bhulayein kaise?
ek aur dil ko thokar lagayein kaise?

Jab tak jinda hain mere armaan
tujhse door jaayein toh jaayein kaise?

Main meri ko khoob hawa de di
apni hasti ko ab mitaayein kaise?

Phoolon ke tarane gaate rahe
kaanton se daaman chhudaayein kaise?

Bachte rahe teri julaf ke jaal se
par tere saaye ko bhagayein kaise?

Dil ke tukron se tasalli na hui
khud ko sooli pe chadayein kaise?

Ab chup hai dil dard mein bhi
isko rulayein toh rulayein kaise?

Na chhero .......







Na chhero Jakhmon ko phoolon se
inse angaar barasane do
na dard ki koi dawa karo
jo riste hain toh risne do

Aaj na tum samjhao mujhko
aaj na mera gila karo
aaj jo aansoo baras rahe hain
mat roko unhein barsane do

Achha hi kiya kuchh bura nahi
jo mujhse door chala gya
tumhein paane ki tammana thi
ab dekhan ko tarsane do

Na mann ki hui na tann ki rahi
jindgi beecho beech fansi
na aa paaye na hi ja paye
atkati hai saans atkane do

mat chhero meri aankhon ko
inmein abhi chahat baaki hai
kabse pyaasi taras rahi hain
aa jao ab na tarsane do
aa jaao ab na tarsane do






Monday, November 2, 2009

Jab Sari Duniya Soti Hai

Jab saari duniya soti hai
Ek khidhi koi khulti hai
Yaadon ke jugnu aate hain
Aur ek mehfil si judti hai
Kuchh khatte meethe pal usmein
Angdaiyan fir lete hain
Kabhi khushi ki bearish hoti hai
Kabhi dard ki aandhi jhulti hai
Jis pal ne hansaya tha mujhko
Ab aansoo ban ke aaya hai
Is pal ke andhere mein
Uski hi nami si ghulti hai
Fir yaad kisi ki aayi hai
Fir aankh se aansoo tapka hai
Par dekh ke un do naino ko
Honthon pe hansi bhi khilti hai
Jab saari duniya soti hai
Ek khidhi koi khulti hai
Yaadon ke jugnu aate hain
Aur ek mehfil si judti hai

Yeh Kaisi Kashmkash

 
Yeh kaisi kashmkash hai
Yeh kaisi beqrari hai
Kyun rundha sa hai gala
Kyun sir pe ek katari hai
Kal jo baat thi khushi ki
Aaj kyun bani who bhari hai
Kahan jaaun jakar chhupun
Dil kyun bana bhekhari hai
Kuchh sunna, dekhna na chahoon
Kiske liye yeh duniya saari hai
Raat bhar bahaye the aansoo
Is mann ki sookhi fir kyaari hai
Na jaanu kaun si manzil hai meri
Kahan jaane ki fir taiyari hai
Yeh kaisi kashmkash hai
Yeh kaisi beqrari hai